sab logon se aage baDh
jūñhī sūraj chaḌhtā hai
chūza uTh kar paḌhtā hai
chūñ-chūñ chūñ-chūñ
chūñ-chūñ chūñ-chūñ
pahle bismillāh kahūñ
phir maiñ apnā sabaq paḌhūñ
sub.h savere uThte hī
apne rab ko yaad karūñ
khāne piine se pahle
choñch ragaḌ kar saaf karūñ
itnā to hai yaad mujhe
ammī aage kyā sīkhūñ
murġhī kaT kaT kartī hai
ḳhush ho kar yuuñ kahtī hai
merā chū chū shaad rahe
shaad rahe ābād rahe
paḌhne hī se 'izzat hai
baat ye beTā yaad rahe
jāhil log zamāne meñ
ḳhvār hue barbād rahe
sīkheñ aur sikhā.eñ jo
ban kar vo ustād rahe
bas tū bhī mehnat se paḌh
sab logoñ se aage baḌh
junhi suraj chaDhta hai
chuza uTh kar paDhta hai
chun-chun chun-chun
chun-chun chun-chun
pahle bismillah kahun
phir main apna sabaq paDhun
subh sawere uThte hi
apne rab ko yaad karun
khane pine se pahle
chonch ragaD kar saf karun
itna to hai yaad mujhe
ammi aage kya sikhun
murghi kaT kaT karti hai
KHush ho kar yun kahti hai
mera chu chu shad rahe
shad rahe aabaad rahe
paDhne hi se 'izzat hai
baat ye beTa yaad rahe
jahil log zamane mein
KHwar hue barbaad rahe
sikhen aur sikhaen jo
ban kar wo ustad rahe
bas tu bhi mehnat se paDh
sab logon se aage baDh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.