sab ne maina ko chuma
kal apne pine baaġh meñ ham ne mainā pakḌī thī
kaale maḳhmal jaise us ke par the choñch sunahrī thī
us ke vāste aiman ik pītal kā piñjrā laa.e the
aapī ne bhī tiin kaTore chāñdī ke mañgvā.e the
bachche ḳhush the mainā sab se bāteñ karne vaalī hai
ḳhuub maze se chīkū aur añgūr kutarne vaalī hai
lekin mainā phaḌ phaḌ kartī pinjre meñ chakrāne lagī
ai lo ab vo sar apnā dīvāroñ se Takrāne lagī
faizī bolā mainā ke bhī bachche hoñge kyoñ ammī
aiman kahtā thā sab bhūke pyāse hoñge nā arshī
mil jul kar ham saare bachche ek natīje par pahuñche
sab ne mainā ko chūmā aur baaġh meñ jā kar chhoḌ aa.e
kal apne pine baaġh meñ ham ne mainā pakḌī thī
kal apne pine bagh mein hum ne maina pakDi thi
kale maKHmal jaise us ke par the chonch sunahri thi
us ke waste aiman ek pital ka pinjra lae the
aapi ne bhi tin kaTore chandi ke mangwae the
bachche KHush the maina sab se baaten karne wali hai
KHub maze se chiku aur angur kutarne wali hai
lekin maina phaD phaD karti pinjre mein chakrane lagi
ai lo ab wo sar apna diwaron se Takrane lagi
faizi bola maina ke bhi bachche honge kyon ammi
aiman kahta tha sab bhuke pyase honge na arshi
mil jul kar hum sare bachche ek natije par pahunche
sab ne maina ko chuma aur bagh mein ja kar chhoD aae
kal apne pine bagh mein hum ne maina pakDi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.