sab neamat hain
sūraj bādal taare
dhuup aur saa.e
sab ne.amat haiñ
kaun inheñ jhuTlā.e
āsmān meñ chandā chamke
biich samundar kashtī taire
jis kī tah meñ
motī mūñge
phuul haiñ itne saare
shāḳh bojh se jhuk jhuk jaa.e
kaun inheñ jhuTlā.e
paanī jharne jhīleñ nahreñ
mīThe meve aur khajūreñ
sachche motī jaise hūreñ
dariyā bahte bahte
dūsre dariyā se mil jaa.e
kaun inheñ jhuTlā.e
jis miTTī se chashme ubleñ
us meñ lahrātī haiñ fasleñ
phal se bojhal bojhal shāḳheñ
jab ye chaḌheñ tarāzū
us kā palḌā jhuk na jaa.e
kaun inheñ jhuTlā.e
sūraj bādal taare
dhuup aur saa.e
sab ne.amat haiñ
kaun inheñ jhuTlā.e
suraj baadal tare
dhup aur sae
sab neamat hain
kaun inhen jhuTlae
aasman mein chanda chamke
bich samundar kashti taire
jis ki tah mein
moti munge
phul hain itne sare
shaKH bojh se jhuk jhuk jae
kaun inhen jhuTlae
pani jharne jhilen nahren
miThe mewe aur khajuren
sachche moti jaise huren
dariya bahte bahte
dusre dariya se mil jae
kaun inhen jhuTlae
jis miTTi se chashme ublen
us mein lahraati hain faslen
phal se bojhal bojhal shaKHen
jab ye chaDhen taraazu
us ka palDa jhuk na jae
kaun inhen jhuTlae
suraj baadal tare
dhup aur sae
sab neamat hain
kaun inhen jhuTlae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.