saba akbar aabaadi
mashshātgī-e-gesū-e-fan muddatoñ huī
ārā.ish-e-urūs-e-suḳhan muddatoñ huī
dast-e-sabā fazā-e-adab par rahā muhīt
tahzīb-e-sakinān-e-chaman muddatoñ huī
taz.īn-e-bostān-e-vatan muddatoñ huī
asnāf-e-shā.erī nazar aatī haiñ be-asās
fann-e-rubā.iyāt bhī hai aaj harf-e-yās
ab marsiya bhī marsiya-ḳhvānī kiyā kare
hazrat-'sabā' kī yaad meñ hai anjuman udaas
doshīza-e-ġhazal ko hai hadd-e-adab kā paas
ab tez-tar hai dhuup koī sā.ebāñ nahīñ
jaa.eñ kahāñ tuyūr koī āshiyāñ nahīñ
ruk kar mile panāh bujhe tishnagī jahāñ
raste meñ apne ab koī aisā makāñ nahīñ
shahr-e-'sabā' meñ ab koī pīr-e-muġhāñ nahīñ
mashshatgi-e-gesu-e-fan muddaton hui
aaraish-e-urus-e-suKHan muddaton hui
dast-e-saba faza-e-adab par raha muhit
tahzib-e-sakinan-e-chaman muddaton hui
tazin-e-bostan-e-watan muddaton hui
asnaf-e-shaeri nazar aati hain be-asas
fann-e-rubaiyat bhi hai aaj harf-e-yas
ab marsiya bhi marsiya-KHwani kiya kare
hazrat-'saba' ki yaad mein hai anjuman udas
doshiza-e-ghazal ko hai hadd-e-adab ka pas
ab tez-tar hai dhup koi saeban nahin
jaen kahan tuyur koi aashiyan nahin
ruk kar mile panah bujhe tishnagi jahan
raste mein apne ab koi aisa makan nahin
shahr-e-'saba' mein ab koi pir-e-mughan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.