saba-e-sahra
be-dāġh vus.atoñ kī āhū-e-be-bāk
tere ek hī mushk-bez jhoñke ne
yādoñ ke darīche khol diye haiñ
jhulastī dopahroñ meñ
ghane pīpal kī chhāñv meñ
jhūlā jhūltī ham-joliyāñ
ḳhush-gulū chāḌhe kī āvāz meñ
reg-zāroñ ke giit
kun ras hue jaate haiñ
barsāt kī ābnūsī raat kā manzar
khule āsmān tale baan kī ThanDī chārpā.ī par
chādar taan kar
dhule tāroñ kī jhilmilāhaT
dīd-ras huī jaatī hai
sāvan rut meñ giilī soñdhī maTkī mahkār
chaḌhī nahroñ kī salonī sāvanī thī mushk-bār
sub.hān terī qudrat kī
sadā.eñ bhī ajab thiiñ
Daal Daal ko ka.ī koyal kī
adā.eñ bhī ġhazab thiiñ
maiñ chashm-e-tasavvur se
un chuñdhiyā dene vaale raushniyoñ se
nazreñ bachā kar
is bazm-e-nashāt meñ jhāñk letī huuñ
ki
har shai apne asal ko DhūñDhtī hai
be-dagh wusaton ki aahu-e-be-bak
tere ek hi mushk-bez jhonke ne
yaadon ke dariche khol diye hain
jhulasti dopahron mein
ghane pipal ki chhanw mein
jhula jhulti ham-joliyan
KHush-gulu chaDhe ki aawaz mein
reg-zaron ke git
kun ras hue jate hain
barsat ki aabnusi raat ka manzar
khule aasman tale ban ki ThanDi chaarpai par
chadar tan kar
dhule taron ki jhilmilahaT
did-ras hui jati hai
sawan rut mein gili sondhi maTki mahkar
chaDhi nahron ki saloni sawani thi mushk-bar
subhan teri qudrat ki
sadaen bhi ajab thin
Dal Dal ko kai koyal ki
adaen bhi ghazab thin
main chashm-e-tasawwur se
un chundhiya dene wale raushniyon se
nazren bacha kar
is bazm-e-nashat mein jhank leti hun
ki
har shai apne asal ko DhunDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.