sabab-e-tabahi
ḳhūbsūrat shai har ik niklī hai terī zaat se hī
chhū ke shajroñ ko guzartī ye havā.eñ
aur abr-ālūd rañgīñ ye fazā.eñ
dariyā meñ aTkheliyāñ kartī ye lahreñ
aur sāhil par nikhartī ye shuā.eñ
jāntā huuñ
hū-ba-hū jannat hai ye saare nazāre
lekin ik din ye nazāre hī
sabab hoñge tabāhī kā jahāñ kī
zulf-o-chashm-o-āriz tere
aur terā har ik Dhab
sar-ba-sar ehsās dete hai iram kā mujh ko bhī
ya.anī sabab merī tabāhī kā tū hogī
KHubsurat shai har ek nikli hai teri zat se hi
chhu ke shajron ko guzarti ye hawaen
aur abr-alud rangin ye fazaen
dariya mein aTkheliyan karti ye lahren
aur sahil par nikharti ye shuaen
jaanta hun
hu-ba-hu jannat hai ye sare nazare
lekin ek din ye nazare hi
sabab honge tabahi ka jahan ki
zulf-o-chashm-o-ariz tere
aur tera har ek Dhab
sar-ba-sar ehsas dete hai iram ka mujh ko bhi
yani sabab meri tabahi ka tu hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.