sabhi waise ka waisa hai
sabhī kuchh vaise kā vaisā hai
kahīñ kuchh bhī nahīñ badlā
duur se
āvāz detīñ
mehrābeñ
dhvajā.eñ
nukīle aur gol gumbad
ġhuTarġhūñ karte kabūtar
TūTte bikharte
qile kī
munhadim burjiyoñ pe
ugī jalī ghaas
barsātī naale kī naaf se nikaltī
pagDanDī
paar koThār
gāDoliyā lohār
ghanā
chhitnār
peḌ pīpal kā
ūñghtī alsā.ī saḌak
makān kī pahlī manzil kī zang-ḳhurda salāḳh se
munqasim ḳhvāb-gūñ
khiḌkī
TūTtī girtī shaam kī raushnī meñ
sayyāl sharāroñ kī
TeḌhī meḌhī lakīroñ ko
dekhtī
chup-chāp
sūraj kī pahlī kiran
gaDmaD lakīroñ ko sikhātī
sabhi kuchh waise ka waisa hai
kahin kuchh bhi nahin badla
dur se
aawaz detin
mehraben
dhwajaen
nukile aur gol gumbad
ghuTarghun karte kabutar
TuTte bikharte
qile ki
munhadim burjiyon pe
ugi jali ghas
barsati nale ki naf se nikalti
pagDanDi
par koThaar
gaDoliya lohaar
ghana
chhitnar
peD pipal ka
unghti alsai saDak
makan ki pahli manzil ki zang-KHurda salaKH se
munqasim KHwab-gun
khiDki
TuTti girti sham ki raushni mein
sayyal shararon ki
TeDhi meDhi lakiron ko
dekhti
chup-chap
suraj ki pahli kiran
gaDmaD lakiron ko sikhati
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 62)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.