sabr ki chadar tah kar di
koī aag piye ki zahr piye
yā saañp Dase kī maut mare
ab dhuup ke jal-thal dariyā se
koī apne muñh meñ ret bhare
ham ne to piyāla ulaT diyā
aur ulaT diyā
har ik manzar
jab shaam kī āñhkeñ ḳhuun huiiñ
aur būdla boTī boTī thī
ye bastī zulm kī zulmat meñ
tab kachchī dhuup chabātī thī
aur dariyā piitī jaatī thī
misvāk zamīn meñ gaaḌ dī hai
ab raat se raat nikālī hai
aur aag meñ Daalī mast dhamāl
aur raakh meñ raakh milā dī hai
ab ḳhair kī ḳhatm huī ummīd
ab phāñko ret
aur dhuup piyo
yā saañp Dase kī maut maro
ham ne to piyāla ulaT diyā
aur sabr kī chādar tah kar dī
koi aag piye ki zahr piye
ya sanp Dase ki maut mare
ab dhup ke jal-thal dariya se
koi apne munh mein ret bhare
hum ne to piyala ulaT diya
aur ulaT diya
har ek manzar
jab sham ki aanhken KHun huin
aur budla boTi boTi thi
ye basti zulm ki zulmat mein
tab kachchi dhup chabaati thi
aur dariya piti jati thi
miswak zamin mein gaD di hai
ab raat se raat nikali hai
aur aag mein Dali mast dhamal
aur rakh mein rakh mila di hai
ab KHair ki KHatm hui ummid
ab phanko ret
aur dhup piyo
ya sanp Dase ki maut maro
hum ne to piyala ulaT diya
aur sabr ki chadar tah kar di
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 52)
- Author : fahiim shanaas kaazmii
- Publication : fikshan house lahore (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.