sabr
koī batā.egā kis ko is kā idrāk huā
kisī pe sabr utrā hai
zaḳhmoñ pe marham rakheñ to Tiis uThtī hai
magar
jismānī zaḳhm mundamil hote vaqt nahīñ lagtā
rūhānī zaḳhm pe marham kaun rakhe
zaḳhmī ruuh sañglāḳh chaTTānoñ pe bhaTaktī huī jab chīḳhī to vo chaTTāneñ bhī kaañp jaatī haiñ
phir marham utārā gayā bhaTaktī huī zaḳhmoñ se chuur ruuh kā
aur vo ḳhāmosh ho ga.ī
ḳhāmushī marham hai kyā
marham se zaḳhm dard alam dukh ke bādal chhaT jaate haiñ
phir ḳhāmushī davā ban jaatī hai
davā in.aam hī to hai
dard phir surūr bantā hai
us ruuh pe bhī sabr utrā aur vo ḳhāmosh ho ga.ī
salāmun alaikum bimā sabar-tum fa-ne'ma uqbaddār
koi bataega kis ko is ka idrak hua
kisi pe sabr utra hai
zaKHmon pe marham rakhen to Tis uThti hai
magar
jismani zaKHm mundamil hote waqt nahin lagta
ruhani zaKHm pe marham kaun rakhe
zaKHmi ruh sanglaKH chaTTanon pe bhaTakti hui jab chiKHi to wo chaTTanen bhi kanp jati hain
phir marham utara gaya bhaTakti hui zaKHmon se chur ruh ka
aur wo KHamosh ho gai
KHamushi marham hai kya
marham se zaKHm dard alam dukh ke baadal chhaT jate hain
phir KHamushi dawa ban jati hai
dawa inam hi to hai
dard phir surur banta hai
us ruh pe bhi sabr utra aur wo KHamosh ho gai
salamun alaikum bima sabar-tum fa-ne'ma uqbaddar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.