sabz ruton mein qadim gharon ki KHushbu
jin galiyoñ kā sūraj
rasta bhuul gayā ho
un meñ kisī bhī aahaT kā
koī giit nahīñ gūñjā kartā
bosīda darvāze
khiḌkiyāñ
bal khāte chobī zīnoñ par
nāchtī rahtī hai vīrānī
gard-o-ġhubār meñ Duube kamre
aapas meñ bāteñ karte haiñ
band darīche
sāñpoñ jaisī āñkhoñ se
dūr-darāz ko jaane vaalī
sabz rutoñ kī yādoñ meñ
rote rote so jaate haiñ
un sab logoñ kī yādoñ meñ
jin kī jismoñ kī ḳhushbū ko
saiñt ke rakhne vaale lamhe
māh-o-sāl kī gard meñ dabte jaate haiñ
band gharoñ kī ḳhushbū se
ḳhāmoshī aur tanhā.ī maut kī bāteñ karte haiñ
jin galiyon ka suraj
rasta bhul gaya ho
un mein kisi bhi aahaT ka
koi git nahin gunja karta
bosida darwaze
khiDkiyan
bal khate chobi zinon par
nachti rahti hai virani
gard-o-ghubar mein Dube kamre
aapas mein baaten karte hain
band dariche
sanpon jaisi aankhon se
dur-daraaz ko jaane wali
sabz ruton ki yaadon mein
rote rote so jate hain
un sab logon ki yaadon mein
jin ki jismon ki KHushbu ko
saint ke rakhne wale lamhe
mah-o-sal ki gard mein dabte jate hain
band gharon ki KHushbu se
KHamoshi aur tanhai maut ki baaten karte hain
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 197)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.