sabz suraj ki kiran
sabz billī sabz
āñkheñ sabz
sūraj kī kiran
jab nīm-ḳhvābī kī tarah us aañkh uupar
jhūltī hai jhūmtī hai sabz
āñkheñ sabz-raushan
rañg kī bārīk-lahreñ
urġhuvānī qurmuzī thoḌā bahut sone kā jhilmil-rañg
āñkheñ zindagī bantī haiñ dhundlī raushnī meñ
sabz bhūrī āñkheñ khultī haiñ to fauran
qumqume sī khilkhilātī
be-mahābā raushnī har goshe se khiñch kar simaT aatī hai bhūrī sabz
chashm be-hijābī kauñdtī hai
dhuup kī garmī nazar
bebāk uryāñ
phailte paare kī sūrat shāh-rāhoñ aur gharoñ meñ
maujzan hai sabz āñkheñ sabz
shaffāf ābgīna ban ga.ī haiñ
sabz billi sabz
aankhen sabz
suraj ki kiran
jab nim-KHwabi ki tarah us aankh upar
jhulti hai jhumti hai sabz
aankhen sabz-raushan
rang ki barik-lahren
urghuwani qurmuzi thoDa bahut sone ka jhilmil-rang
aankhen zindagi banti hain dhundli raushni mein
sabz bhuri aankhen khulti hain to fauran
qumqume si khilkhilati
be-mahaba raushni har goshe se khinch kar simaT aati hai bhuri sabz
chashm be-hijabi kaundti hai
dhup ki garmi nazar
bebak uryan
phailte pare ki surat shah-rahon aur gharon mein
maujzan hai sabz aankhen sabz
shaffaf aabgina ban gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.