sach
azal se us kī saltanat ko koī māntā nahīñ
jo dil meñ aa ke jhāñk le to jaise jāntā nahīñ
par ab to maan jhuuT kī nafī na kar
nafī na kar ki jhuuT hai
sach kī saarī saltanat kā vāsta
nafī na kar ki jhuuT hai
nutq par ḳhitāb meñ
āb-o-ḳhāk-o-bād meñ
muāmle mukālme takallufat-o-hādse
maiñ dost yaar mehrbāñ
khet khet reñgtā hai jhuuT bahte aab meñ
sīñchtā hai nuur jhuuT shahr ke makān meñ
bhāgtā hai tez tez jhuuT tez kaar meñ
jhuuT kaale harf kī buland baañg surḳhiyāñ
jhuuT ahd-e-kuhna kī dabīz lan-tarāniyāñ
jhuuT is liye ki sach kā duur tak pata nahīñ
ye terā sirf vahm hai maiñ sach se bad-gumāñ nahīñ
har ik naqīb sach kā lahke jhuuT ke alaav meñ
gumāñ ko ḳhisht kar ke sach kī niiv Dāltā rahā hai
jhuuT kī nafī na kar
ki sach kī dūdhiyā lakīr duur jhilmilā sake
azal se us ki saltanat ko koi manta nahin
jo dil mein aa ke jhank le to jaise jaanta nahin
par ab to man jhuT ki nafi na kar
nafi na kar ki jhuT hai
sach ki sari saltanat ka wasta
nafi na kar ki jhuT hai
nutq par KHitab mein
aab-o-KHak-o-baad mein
muamle mukalme takallufat-o-hadse
main dost yar mehrban
khet khet rengta hai jhuT bahte aab mein
sinchta hai nur jhuT shahr ke makan mein
bhagta hai tez tez jhuT tez kar mein
jhuT kale harf ki buland bang surKHiyan
jhuT ahd-e-kuhna ki dabiz lan-taraniyan
jhuT is liye ki sach ka dur tak pata nahin
ye tera sirf wahm hai main sach se bad-guman nahin
har ek naqib sach ka lahke jhuT ke alaw mein
guman ko KHisht kar ke sach ki niw Dalta raha hai
jhuT ki nafi na kar
ki sach ki dudhiya lakir dur jhilmila sake
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 66)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.