sach bata
ai ḳhudā
kaise maiñ mānūñ ki miTTī se banī hai maañ bhī
ḳhaak to faanī hai miT jaatī hai
aur lā-fānī ko faanī maiñ kaise mānūñ
sach batā kaun chhupā hai is meñ
zarf-e-insān meñ vus.at ye kahāñ se aa.e
vahī ulfat vahī shafqat vahī parda-poshī
ye to sifateñ haiñ tirī
maiñ to hairān huuñ ik saada sī laḌkī kyūñ-kar
haft-aflāk ko chhū letī hai maañ bante hī
vo jo ik nuur nihāñ sub.h-e-azal tū ne kiyā thā is meñ
karb-e-taḳhlīq jagātā hai jise
vo phir dard kī āḳhirī had ko chhū kar
har sū vo nuur bikhar jaatā hai
nuur hī nuur se har ang rachā hotā hai
ḳhaak kā ḳhol faqat dhoka hai
vo to sayyāl mohabbat hai jo gardish meñ hai
dard aur soz base hote haiñ ik ik nas meñ
gosht aur post faqat parda hai
maañ to tamsīl hai jannat kī tirī
vahī vus.at vahī ThanDak
aur vahī duudh kī shīrīñ nahreñ
maañ to tafsīr hai ulfat kī tirī
apnī maḳhlūq se had apnī mohabbat kī jatāne ke liye
maañ kī mamtā ko hī paimāna banāyā tū ne
sach batā kaun chhupā hai is meñ
sach batā bhed ye kyoñ tū ne chhupā rakkhā hai
ai KHuda
kaise main manun ki miTTi se bani hai man bhi
KHak to fani hai miT jati hai
aur la-fani ko fani main kaise manun
sach bata kaun chhupa hai is mein
zarf-e-insan mein wusat ye kahan se aae
wahi ulfat wahi shafqat wahi parda-poshi
ye to sifaten hain teri
main to hairan hun ek sada si laDki kyun-kar
haft-aflak ko chhu leti hai man bante hi
wo jo ek nur nihan subh-e-azal tu ne kiya tha is mein
karb-e-taKHliq jagata hai jise
wo phir dard ki aaKHiri had ko chhu kar
har su wo nur bikhar jata hai
nur hi nur se har ang racha hota hai
KHak ka KHol faqat dhoka hai
wo to sayyal mohabbat hai jo gardish mein hai
dard aur soz base hote hain ek ek nas mein
gosht aur post faqat parda hai
man to tamsil hai jannat ki teri
wahi wusat wahi ThanDak
aur wahi dudh ki shirin nahren
man to tafsir hai ulfat ki teri
apni maKHluq se had apni mohabbat ki jatane ke liye
man ki mamta ko hi paimana banaya tu ne
sach bata kaun chhupa hai is mein
sach bata bhed ye kyon tu ne chhupa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.