sach bolo
sach bolo sachche kahlāo
is se apnā naam kamāo
pahle ḳhud ye farz nibhāo
auroñ ko phir raah dikhāo
sach bolo sachche kahlāo
jis ghar meñ ho sach ai laala
us ghar meñ ho sadā ujālā
sachchī hai ye prem kī maalā
mankā mankā ginte jaao
sach bolo sachche kahlāo
mehnat se mat jī ko churāo
nek bano achchhe kahlāo
sab ko achchhī raah dikhāo
aao aao mil kar gaao
sach bolo sachche kahlāo
sach bolo sachche kahlao
is se apna nam kamao
pahle KHud ye farz nibhao
auron ko phir rah dikhao
sach bolo sachche kahlao
jis ghar mein ho sach ai lala
us ghar mein ho sada ujala
sachchi hai ye prem ki mala
manka manka ginte jao
sach bolo sachche kahlao
mehnat se mat ji ko churao
nek bano achchhe kahlao
sab ko achchhi rah dikhao
aao aao mil kar gao
sach bolo sachche kahlao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.