sach hasin hai
kab se jaane kab se
shāyad sadiyoñ se
insān yahī kahtā aayā hai
dil ko haTā kar
bahut se dhoke us ne apnī 'aql se khaa.e
ik dhoka ye bhī khāyā hai
vo kahtā hai sach bad-sūrat
āñkhoñ meñ ḳhuuñ
daañt baḌe aur laal zabāñ bāhar ko niklī
ik aisī patthar kī mūrat
sach bad-sūrat
lekin yaaro ġhaur se dekho
sub.h kā honā bhī ik sach hai
āsmān meñ raat kī devī kā rozāna
taare bonā bhī ik sach hai
chāñdnī raat kī chāñdī bhī ik sachchā.ī hai
sūraj kī kirnoñ kā sonā bhī ik sach hai
yahāñ bhī dekho vahāñ bhī dekho
sach hai husn jahāñ bhī dekho
husn hai sach kā konā konā
husn kī zid bad-sūrat honā
to phir sach bad-sūrat kaise
yā'nī kuchh jhūToñ ne mil kar
jhūTh ko ab tak itnā bolā
aaj hameñ vo sach lagtā hai
jo kaḌvā aur bad-sūrat hai
aao is mīzān meñ rakh kar
sach aur jhūTh kī hai.at toleñ
ho saktā hai jhūTh lage duniyā ko lekin
himmat kar ke ye sach boleñ
kab se jaane kab se
shayad sadiyon se
insan yahi kahta aaya hai
dil ko haTa kar
bahut se dhoke us ne apni 'aql se khae
ek dhoka ye bhi khaya hai
wo kahta hai sach bad-surat
aankhon mein KHun
dant baDe aur lal zaban bahar ko nikli
ek aisi patthar ki murat
sach bad-surat
lekin yaro ghaur se dekho
subh ka hona bhi ek sach hai
aasman mein raat ki dewi ka rozana
tare bona bhi ek sach hai
chandni raat ki chandi bhi ek sachchai hai
suraj ki kirnon ka sona bhi ek sach hai
yahan bhi dekho wahan bhi dekho
sach hai husn jahan bhi dekho
husn hai sach ka kona kona
husn ki zid bad-surat hona
to phir sach bad-surat kaise
ya'ni kuchh jhuTon ne mil kar
jhuTh ko ab tak itna bola
aaj hamein wo sach lagta hai
jo kaDwa aur bad-surat hai
aao is mizan mein rakh kar
sach aur jhuTh ki haiat tolen
ho sakta hai jhuTh lage duniya ko lekin
himmat kar ke ye sach bolen
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 134)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.