sach
sach kahāñ hai
tārīḳh ke aurāq meñ
tārīḳh se baḌā dhoka to kuchh nahīñ
tārīḳh to apne apne
dalāloñ ke mā-tahat rahī
koī jhuuT kis tarah sach meñ tabdīl ho jaatā hai
is kā javāb dene ke liye siitā baaqī na rahī
har us moḌ pe baat adhūrī rah ga.ī
jo agar mukammal ho jaatī
to ahl-e-fasād kā kārobār kaise chaltā
to kyā kisī chiiz ko halāl karne ke liye
harām kī āmezish darkār hai
kahīñ aisā to nahīñ
rasūl ke naam levā
abu-jehl ke rāste par chal paḌe hoñ
kahīñ aisā to nahīñ falsafa-e-shahādat kā dars
yazīd de rahā ho
sach kahan hai
tariKH ke auraq mein
tariKH se baDa dhoka to kuchh nahin
tariKH to apne apne
dalalon ke ma-tahat rahi
koi jhuT kis tarah sach mein tabdil ho jata hai
is ka jawab dene ke liye sita baqi na rahi
har us moD pe baat adhuri rah gai
jo agar mukammal ho jati
to ahl-e-fasad ka karobar kaise chalta
to kya kisi chiz ko halal karne ke liye
haram ki aamezish darkar hai
kahin aisa to nahin
rasul ke nam lewa
abu-jehl ke raste par chal paDe hon
kahin aisa to nahin falsafa-e-shahadat ka dars
yazid de raha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.