sach kahna hai
ai taḳht-nashīñ logo tum ne
ye kaisā mulk banā Daalā
har hisse meñ hai zaḳhm bahut
har shakl pe mātam chhāyā hai
qatra-qatra ḳhuuñ bahtā hai
reza-reza sab marte haiñ
har lamha ik Dar rahtā hai
koī saayā jaane kahāñ se
aa dhamke phir khā hī jaa.e
ham Darte haiñ sab Darte haiñ
sab kā Darnā lāzim bhī hai
in kamroñ meñ chīḳh rahī hai
sach kahne vaalī ḳhāmoshī
sach sun ne vaalī ik aadat
sach likhne vaale kuchh pāgal
haiñ zabt kahīñ par log yahāñ
koī khoje āḳhir un ko
haañ un logoñ meñ himmat hai
topoñ ke aage rakh deñge
kuchh giit kahānī nazm qalam
kuchh dīvāreñ potī jā.eñgī
kuchh va.ade likkhe jā.eñge
vo dahshat toḌī jā.egī
kuchh putle phūñke jā.eñge
Daflī pe raag banegī phir
tab ek mash.al jalegī phir
zanjīreñ talvāreñ topeñ
ye sab ġhā.eb ho jā.eñgī
ham phir se tab muskā.eñge
ham phir se sach kah pā.eñge
ai taKHt-nashin logo tum ne
ye kaisa mulk bana Dala
har hisse mein hai zaKHm bahut
har shakl pe matam chhaya hai
qatra-qatra KHun bahta hai
reza-reza sab marte hain
har lamha ek Dar rahta hai
koi saya jaane kahan se
aa dhamke phir kha hi jae
hum Darte hain sab Darte hain
sab ka Darna lazim bhi hai
in kamron mein chiKH rahi hai
sach kahne wali KHamoshi
sach sun ne wali ek aadat
sach likhne wale kuchh pagal
hain zabt kahin par log yahan
koi khoje aaKHir un ko
han un logon mein himmat hai
topon ke aage rakh denge
kuchh git kahani nazm qalam
kuchh diwaren poti jaengi
kuchh wade likkhe jaenge
wo dahshat toDi jaegi
kuchh putle phunke jaenge
Dafli pe rag banegi phir
tab ek mashal jalegi phir
zanjiren talwaren topen
ye sab ghaeb ho jaengi
hum phir se tab muskaenge
hum phir se sach kah paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.