Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach kaho sach kaho hamesha sach

Ismail Merathi

sach kaho sach kaho hamesha sach

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    sach kaho sach kaho hamesha sach

    hai bhale mānasoñ pesha sach

    sach kahoge to tum rahoge aziiz

    sach to ye hai ki sach hai achchhī chiiz

    sach kahoge to tum rahoge shaad

    fikr se paak ranj se āzād

    sach kahoge to tum rahoge diler

    jaise Dartā nahīñ dilāvar sher

    sach se rahtī hai taqviyat dil ko

    sahl kartā hai saḳht mushkil ko

    jis ko sach bolne aadat hai

    vo baḌā nek bā-sa.ādat hai

    sach hai saare muāmloñ jaan

    sach se rahtā hai dil ko itmīnān

    sach meñ rāhat hai aur āsānī

    sach se hotī nahīñ pashemānī

    sach hai duniyā meñ nekiyoñ jaḌ

    sach na ho to jahān jaa.e ujaḌ

    sach kahoge to dil rahegā saaf

    sach se ho jā.eñge qusūr muaaf

    sach se zinhār dar-guzar na karo

    dil meñ kuchh ḳhauf aur ḳhatar na karo

    vahī daanā hai jo ki hai sachchā

    is meñ būḌhā ho koī bachchā

    hai burā jhuuT bolne vaalā

    aap kartā hai apnā muñh kaalā

    fā.eda us ko kuchh na degā jhuuT

    jā.egā ek roz bhāñDā phuuT

    jhuuT bhuul kar na Daalo ḳhū

    jhuuT zillat baat hai aḳh thū

    sach kaho sach kaho hamesha sach

    hai bhale manason ka pesha sach

    sach kahoge to tum rahoge aziz

    sach to ye hai ki sach hai achchhi chiz

    sach kahoge to tum rahoge shad

    fikr se pak ranj se aazad

    sach kahoge to tum rahoge diler

    jaise Darta nahin dilawar sher

    sach se rahti hai taqwiyat dil ko

    sahl karta hai saKHt mushkil ko

    jis ko sach bolne ki aadat hai

    wo baDa nek ba-saadat hai

    sach hai sare muamlon ki jaan

    sach se rahta hai dil ko itminan

    sach mein rahat hai aur aasani

    sach se hoti nahin pashemani

    sach hai duniya mein nekiyon ki jaD

    sach na ho to jahan jae ujaD

    sach kahoge to dil rahega saf

    sach se ho jaenge qusur muaf

    sach se zinhaar dar-guzar na karo

    dil mein kuchh KHauf aur KHatar na karo

    wahi dana hai jo ki hai sachcha

    is mein buDha ho ya koi bachcha

    hai bura jhuT bolne wala

    aap karta hai apna munh kala

    faeda us ko kuchh na dega jhuT

    jaega ek roz bhanDa phuT

    jhuT ki bhul kar na Dalo KHu

    jhuT zillat ki baat hai aKH thu

    Source :
    • Book : Urdu Zabaan ki tisari kitab (Pg. 85)
    • Author : Khansahab Molvi Mohd. Ismail
    • Publication : Farid Book Depo(Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now