sachcha wed
he dayā-ma.e ham ko shaktī aur viddyā daan kar
duur hoñ vipdā hamārī sab kā tū kalyān kar
bhed zaat aur paat kā ab tū miTā de hind se
mere bhārat kī sabhī deshoñ meñ ūñchī shaan kar
ham dharam-parsār meñ saare lageñ ai īshvar
phir se saare desh meñ paidā isī kā gyaan kar
kaaT de har dukh kā bandhan ho sadā terī dayā
merī is bintī pe ai bhagvan zarā kuchh dhyān kar
ved ke amrit ko pī kar mukt ho jaa.eñ sabhī
gyaan sachchā ved kā 'betāb' ko bhī daan kar
he daya-mae hum ko shakti aur widdya dan kar
dur hon wipda hamari sab ka tu kalyan kar
bhed zat aur pat ka ab tu miTa de hind se
mere bhaarat ki sabhi deshon mein unchi shan kar
hum dharam-parsar mein sare lagen ai ishwar
phir se sare desh mein paida isi ka gyan kar
kaT de har dukh ka bandhan ho sada teri daya
meri is binti pe ai bhagwan zara kuchh dhyan kar
wed ke amrit ko pi kar mukt ho jaen sabhi
gyan sachcha wed ka 'betab' ko bhi dan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.