sachchai
mere ek haath par mahtāb
aur ek haath par ḳhurshīd rakh do
phir bhī maiñ vo baat dohrā.ūñgā
jo sach hai
ye sachchā.ī
jo nāzuk bel kī mānind
husn-o-ḳhair kī ḳhushbū liye
lamhe se lamhe kī taraf chaltī rahī
aur mire baaġh tak pahuñchī
so jab meñ māmtā kī kāñptī bāhoñ meñ ḳhvābīda thā
mere baap ne mujh ko jagāyā
aur kahā
lā-ilāha-illallah
mere ek hath par mahtab
aur ek hath par KHurshid rakh do
phir bhi main wo baat dohraunga
jo sach hai
ye sachchai
jo nazuk bel ki manind
husn-o-KHair ki KHushbu liye
lamhe se lamhe ki taraf chalti rahi
aur mere bagh tak pahunchi
so jab mein mamta ki kanpti bahon mein KHwabida tha
mere bap ne mujh ko jagaya
aur kaha
la-ilaha-illallah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.