sachche dost
dhyān zarā rakhnā kahīñ ye haath na chhūTeñ
dekhnā sachchī dostiyoñ ke saath na chhūTeñ
haath se haath mileñ to duniyā ujlī kar deñ
haath se haath mileñ duā.eñ sachchī kar deñ
haath se haath mileñ diloñ meñ raushnī bhar deñ
dhyān zarā rakhnā
sachche dost añdherī raat meñ raushan taare
sachche dost paḌe mushkil to baneñ sahāre
kaise achchhe achchhe kaise pyāre pyāre
dhyān zarā rakhnā kahīñ ye haath na chhūTeñ
dekhnā sachchī dostoñ ke saath na chhūTeñ
dhyan zara rakhna kahin ye hath na chhuTen
dekhna sachchi dostiyon ke sath na chhuTen
hath se hath milen to duniya ujli kar den
hath se hath milen duaen sachchi kar den
hath se hath milen dilon mein raushni bhar den
dhyan zara rakhna
sachche dost andheri raat mein raushan tare
sachche dost paDe mushkil to banen sahaare
kaise achchhe achchhe kaise pyare pyare
dhyan zara rakhna kahin ye hath na chhuTen
dekhna sachchi doston ke sath na chhuTen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.