sada ba-sahra
ye duur duur murādoñ ke retīle Tiile
sarak sarak ke jo dāman badalte rahte haiñ
ye murda uuñT jo sahrā ke zard rañgoñ meñ
kisī ne dasht-e-talab meñ sajā ke rakkhe haiñ
ki jo bhī bhes badal kar idhar ravāna ho
palaT hī jaa.e vo le kar phaTī phaTī āñkheñ
ye kis kī vaadī hai ye uuñT kis ke haiñ
ye kaun zard-nigārish kā itnā shā.eq hai
ye kaun qais hai kis dasht ke sarāb meñ hai
ye kis kā ḳhvāb hai kis husn ke azaab meñ hai
junūñ meñ Duub ke dil ne pukārā naam apnā
jhaTak ke sar ko tamannā ne chīḳh dohrā.ī
ḳhayāl ḳhvāb ke dāman meñ chauñk chauñk uThā
ye merā naam thā dil kā yā merī lailā kā
mirī tamannā thī dil kī yā merī lailā kī
ye chīḳh sar kī jhaTak aur ḳhvāb kis ke the
palaT hī jaao na le kar phaTī phaTī āñkheñ
ye dur dur muradon ke retile Tile
sarak sarak ke jo daman badalte rahte hain
ye murda unT jo sahra ke zard rangon mein
kisi ne dasht-e-talab mein saja ke rakkhe hain
ki jo bhi bhes badal kar idhar rawana ho
palaT hi jae wo le kar phaTi phaTi aankhen
ye kis ki wadi hai ye unT kis ke hain
ye kaun zard-nigarish ka itna shaeq hai
ye kaun qais hai kis dasht ke sarab mein hai
ye kis ka KHwab hai kis husn ke azab mein hai
junun mein Dub ke dil ne pukara nam apna
jhaTak ke sar ko tamanna ne chiKH dohrai
KHayal KHwab ke daman mein chaunk chaunk uTha
ye mera nam tha dil ka ya meri laila ka
meri tamanna thi dil ki ya meri laila ki
ye chiKH sar ki jhaTak aur KHwab kis ke the
palaT hi jao na le kar phaTi phaTi aankhen
- Book : Pakistani Adab (Pg. 193)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.