sada ba-sahra
sakhī phir aa ga.ī rut jhūlne kī gungunāne kī
siyah āñkhoñ kī tah meñ bijliyoñ ke Duub jaane kī
subuk hāthoñ se mehñdī kī harī shāḳheñ jhukāne kī
lagan meñ rañg āñchal meñ dhanak ke muskurāne kī
umañgoñ ke subū se qatra qatra mai Tapakne kī
ghanere gesuoñ meñ adh-khilī kaliyāñ sajāne kī
bayābāñ sabza-e-nau-ḳhez se ābād hote haiñ
sakhī tum bhī jo dil apnā basā letīñ to kyā hotā
hayā hai ḳhauf hai pindār hai zid hai ye kyā shai hai
hamesha iltijā.eñ rā.egāñ jaatī rahīñ merī
kabhī merī ḳhushī kī bhī duā letīñ to kyā hotā
ye kaisī āgahī hai jis kī mash.al haath meñ le kar
sadā tanhā.iyoñ ke des meñ phirtī ho āvāra
ye ik bīm-e-shikast-e-ḳhvāb ye chhū luuñ to kyā hogā
usī se ho ga.ī har ishrat-e-maujūd sad paara
ba-juz ik rūh-e-nālāñ chashm-e-hairāñ umr-e-sar-gardāñ
nahīñ taqsīr-e-parvāz-e-nazar kā koī kaffāra
qarār-e-qalb-zār-e-hind vār-e-barnā.ī-e-yūnāñ
tājllī-e-āl-e-ibrāhīm par paiham jo utrī thī
taḌaptā sho.ala-gūñ ḳhuuñ jāhiliyat kī navāoñ kā
chamak reg-e-ravāñ kī sar-bulandī naḳhl-e-sahrā kī
dayār-e-'hāfiz'-o-'ḳhayyām' kī uḌtī huī ḳhushbū
nigāh-e-'ġhālib'-o-'iqbāl kī getī-shikan mastī
surūr-e-justajū maġhrib kī matvālī havāoñ kā
sabhī paayā magar darmān-e-dard bebasī mushkil
ye ik āsūdgī chehre pe ye Thahrāv āñkhoñ meñ
ye ashkoñ se bharī chhāgal ye be-parda-o-ḳhud-sar dil
chaTāneñ dahr kī ātish ko chhū kar bhī nahīñ pighlīñ
na jaane kaun se ajzā haiñ is uftād meñ shāmil
ye nirmal jal kā chashma ye dil-e-be-qaid-o-be-pāyāñ
use bhī samt miltī us kī bhī ik rahguzar hotī
shabāb apne jalāl-e-hashr-sāmāñ kī qasam khātā
sharāfat be-zabāñ fitrat ke dukh kī chāragar hotī
na hotī aarzū nairañg-e-hastī kī tamāshā.ī
vo us baḌhte humakte kārvāñ kī ham-safar hotī
sakhi phir aa gai rut jhulne ki gungunane ki
siyah aankhon ki tah mein bijliyon ke Dub jaane ki
subuk hathon se mehndi ki hari shaKHen jhukane ki
lagan mein rang aanchal mein dhanak ke muskurane ki
umangon ke subu se qatra qatra mai Tapakne ki
ghanere gesuon mein adh-khili kaliyan sajaane ki
bayaban sabza-e-nau-KHez se aabaad hote hain
sakhi tum bhi jo dil apna basa letin to kya hota
haya hai KHauf hai pindar hai zid hai ye kya shai hai
hamesha iltijaen raegan jati rahin meri
kabhi meri KHushi ki bhi dua letin to kya hota
ye kaisi aagahi hai jis ki mashal hath mein le kar
sada tanhaiyon ke des mein phirti ho aawara
ye ek bim-e-shikast-e-KHwab ye chhu lun to kya hoga
usi se ho gai har ishrat-e-maujud sad para
ba-juz ek ruh-e-nalan chashm-e-hairan umr-e-sar-gardan
nahin taqsir-e-parwaz-e-nazar ka koi kaffara
qarar-e-qalb-zar-e-hind war-e-barnai-e-yunan
tajlli-e-al-e-ibrahim par paiham jo utri thi
taDapta shoala-gun KHun jahiliyat ki nawaon ka
chamak reg-e-rawan ki sar-bulandi naKHl-e-sahra ki
dayar-e-'hafiz'-o-'KHayyam' ki uDti hui KHushbu
nigah-e-'ghaalib'-o-'iqbaal ki geti-shikan masti
surur-e-justaju maghrib ki matwali hawaon ka
sabhi paya magar darman-e-dard bebasi mushkil
ye ek aasudgi chehre pe ye Thahraw aankhon mein
ye ashkon se bhari chhagal ye be-parda-o-KHud-sar dil
chaTanen dahr ki aatish ko chhu kar bhi nahin pighlin
na jaane kaun se ajza hain is uftad mein shamil
ye nirmal jal ka chashma ye dil-e-be-qaid-o-be-payan
use bhi samt milti us ki bhi ek rahguzar hoti
shabab apne jalal-e-hashr-saman ki qasam khata
sharafat be-zaban fitrat ke dukh ki chaaragar hoti
na hoti aarzu nairang-e-hasti ki tamashai
wo us baDhte humakte karwan ki ham-safar hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.