sada-e-dil
sachchā jhūThā jhūThā sachchā
va.ada ik nādān kā hai
jalte jalte raakh huā
merā makāñ imkān sā hai
patte Tahnī shajar jo TuuTe
mas.ala ye tūfān kā hai
ret ret ban uḌtā jaa.e
vo jo kahe chaTTān sā hai
nadī parinde ambar bole
sunñā us kī zabān kā hai
sunā maiñ ne do baar sunā
tīsrā ik gumān sā hai
khel nafrat kā Thiik nahīñ
vo tere hī ziyān kā hai
dharm mohabbat jo apnā.e
vo insān insān sā hai
sachcha jhuTha jhuTha sachcha
wada ek nadan ka hai
jalte jalte rakh hua
mera makan imkan sa hai
patte Tahni shajar jo TuTe
masala ye tufan ka hai
ret ret ban uDta jae
wo jo kahe chaTTan sa hai
nadi parinde ambar bole
sunna us ki zaban ka hai
suna main ne do bar suna
tisra ek guman sa hai
khel nafrat ka Thik nahin
wo tere hi ziyan ka hai
dharm mohabbat jo apnae
wo insan insan sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.