sada-e-gumbad-e-be-rauzan-o-dar
kaisī āvāz hai
koī kahtā hai
ye dasht maujūd-o-mash.hūr-o-mauhūm bas
had idrāk-o-ehsās-o-āvāz tak hī nahīñ
chashm-o-dil kā ye taa.ir jise
sair-e-parvāz samjhe ho majbūr hai
musht-e-par sar-burīda-o-pāband hī
us kā sarmāya hai jis pe maġhrūr hai
tā-ba-hadd-e-ḳhirad tā-ba-hadd-e-junūñ
jo bhī hai hech-o-be-māya hai
kyā ġharaz is se
ye kyā hai kaisā hai kab se hai kab tak rahegā
use bhuul jaao ki tum ḳhud harīf-e-ḳhudāvand-e-āfāq ho
in savālāt meñ ḳhud tumhārī hī tauhīn hai
tum dil-e-arsh-e-āsār kā ā.īna le ke aa.e ho
jis meñ ka.ī rañg kī
tez-rau sust-rau shoḳh maddham sajal mustaqil muttasil
muntashir munfa.il munqasim saada pechīda mub.ham gurāb-i-subuk
nek-o-manhūs
maujūd-o-mash.hūr-o-mauhūm parchhā.iyāñ
yuuñ guzartī haiñ
jaise koī
dhīre dhīre se palkoñ ko chhūtā rahe ḳhvāb meñ
kaun hai kaun hai
māvarā-e-ḳhirad
māvarā-e-junūñ
māvarā-e-nazar
māvarā-e-nafas
muntazir muztarib
apnī sūrat dikhāne ko bechain hai
kaisī āvāz hai jo azal se ta.āqub meñ hai
mere lahje kā īmān us ke taḳhātub meñ hai
ye kahīñ merī āvāz hī to nahīñ
maiñ mujhī ko sadā de rahā huuñ baḌī der se
baḌī duur se
maiñ hī apnā harīf-e-azal
maiñ hī apnā harīf-e-abad
mujh ko merā pata do ki maiñ
apnī āvāz kī guuñj huuñ
kaisi aawaz hai
koi kahta hai
ye dasht maujud-o-mashhur-o-mauhum bas
had idrak-o-ehsas-o-awaz tak hi nahin
chashm-o-dil ka ye tair jise
sair-e-parwaz samjhe ho majbur hai
musht-e-par sar-burida-o-paband hi
us ka sarmaya hai jis pe maghrur hai
ta-ba-hadd-e-KHirad ta-ba-hadd-e-junun
jo bhi hai hech-o-be-maya hai
kya gharaz is se
ye kya hai kaisa hai kab se hai kab tak rahega
use bhul jao ki tum KHud harif-e-KHudawand-e-afaq ho
in sawalat mein KHud tumhaari hi tauhin hai
tum dil-e-arsh-e-asar ka aaina le ke aae ho
jis mein kai rang ki
tez-rau sust-rau shoKH maddham sajal mustaqil muttasil
muntashir munfail munqasim sada pechida mubham gurab-i-subuk
nek-o-manhus
maujud-o-mashhur-o-mauhum parchhaiyan
yun guzarti hain
jaise koi
dhire dhire se palkon ko chhuta rahe KHwab mein
kaun hai kaun hai
mawara-e-KHirad
mawara-e-junun
mawara-e-nazar
mawara-e-nafas
muntazir muztarib
apni surat dikhane ko bechain hai
kaisi aawaz hai jo azal se taaqub mein hai
mere lahje ka iman us ke taKHatub mein hai
ye kahin meri aawaz hi to nahin
main mujhi ko sada de raha hun baDi der se
baDi dur se
main hi apna harif-e-azal
main hi apna harif-e-abad
mujh ko mera pata do ki main
apni aawaz ki gunj hun
- Book : Aainaa Dar Aainaa (Pg. 29)
- Author : Aziz Qaisi
- Publication : Maktaba Saba Hayderabad (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.