sada-e-jawedan
vāhime kī siskiyāñ chāroñ taraf
aur un meñ ik sadā sab se alag
jaise sahrā meñ gulāb
tīrgī meñ jaise ubhre māhtāb
maut kī parchhā.iyoñ meñ jaise raushan zindagānī kī lakīr
munkiroñ ke darmiyāñ jaise masīh
jaise biptā meñ ghire insān ko
apne murshid kā mile āshīrvād
kaurvoñ ke dal kā narġha aur is meñ jaise krishn
bāñsurī kī mohne vaalī sadā
halkī halkī dhīmī dhīmī kaif-zā
ye sadā hai azm-e-insāñ kā payām
azm-e-insāñ kī sadā āfāqiyat
azm-e-insāñ kī sadā lā-fāniyat
azm-e-insāñ kī sadā jamhūriyat
ye sadā hai ik navā-e-dil-sitāñ
ye sadā aflāk meñ parcham-fashāñ
ye sadā māhaul meñ har-dam ravāñ
ye sadā har dil kī dhaḌkan se ayaañ
ye sadā hai ruuh jo hai jāvedāñ
jism martā hai sadā martī nahīñ
wahime ki siskiyan chaaron taraf
aur un mein ek sada sab se alag
jaise sahra mein gulab
tirgi mein jaise ubhre mahtab
maut ki parchhaiyon mein jaise raushan zindagani ki lakir
munkiron ke darmiyan jaise masih
jaise bipta mein ghire insan ko
apne murshid ka mile aashirwad
kaurwon ke dal ka nargha aur is mein jaise krishn
bansuri ki mohne wali sada
halki halki dhimi dhimi kaif-za
ye sada hai azm-e-insan ka payam
azm-e-insan ki sada aafaqiyat
azm-e-insan ki sada la-faniyat
azm-e-insan ki sada jamhuriyat
ye sada hai ek nawa-e-dil-sitan
ye sada aflak mein parcham-fashan
ye sada mahaul mein har-dam rawan
ye sada har dil ki dhaDkan se ayan
ye sada hai ruh jo hai jawedan
jism marta hai sada marti nahin
- Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 46)
- Author : Sahir Hoshiarpuri
- Publication : Modern Publishing House (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.