sada-kar
sunñe vāloñ ko dhaḌaktī huī tanhā.ī meñ
kaun dar aatā hai chupke se tamannā ban kar
kis kī āvāz havāoñ kī subuk lahroñ par
raqs kartī nazar aatī hai tamāshā ban kar
kaun lafzoñ ko atā kartā hai tasvīr kā husn
kaun dil meñ utar aatā hai masīhā ban kar
kis kī dhaḌkan meñ hai kirdāroñ ke dil kī dhaḌkan
kaun ubhar aatā hai mahtāb kā haala ban kar
kitne zehnoñ ke ufuq kitne diloñ ke aflāk
tīrgī meñ bhī farozāñ haiñ ujālā ban kar
kitne an-jānoñ kī taskīn-e-samā.at ke liye
apnī āvāz ke jaadū se ye ras gholte haiñ
sarsarāte hue lamhoñ kī subuk-raftārī
kah rahī hai ki ye tūfānoñ meñ par taulte haiñ
koī bhī ruup ho bahrūp badal kar ye log
pech-dar-pech fasānoñ kī girah kholte haiñ
vo shanshah ho ki daryūza-gar-e-rāh-e-hayāt
apne kirdār ke ausāf liye
sunne walon ko dhaDakti hui tanhai mein
kaun dar aata hai chupke se tamanna ban kar
kis ki aawaz hawaon ki subuk lahron par
raqs karti nazar aati hai tamasha ban kar
kaun lafzon ko ata karta hai taswir ka husn
kaun dil mein utar aata hai masiha ban kar
kis ki dhaDkan mein hai kirdaron ke dil ki dhaDkan
kaun ubhar aata hai mahtab ka haala ban kar
kitne zehnon ke ufuq kitne dilon ke aflak
tirgi mein bhi farozan hain ujala ban kar
kitne an-jaanon ki taskin-e-samaat ke liye
apni aawaz ke jadu se ye ras gholte hain
sarsaraate hue lamhon ki subuk-raftari
kah rahi hai ki ye tufanon mein par taulte hain
koi bhi rup ho bahrup badal kar ye log
pech-dar-pech fasanon ki girah kholte hain
wo shanshah ho ki daryuza-gar-e-rah-e-hayat
apne kirdar ke ausaf liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.