sadaon ka samundar
sadāoñ kā samundar
mere jism meñ
ek sadāoñ kā samundar Thahar gayā hai
ye merī aañkh
kisī ḳhvāb ke paiham chaTaḳhne kī
guuñj de rahī hai
maiñ apnī kokh meñ se
ḳhāmoshiyoñ ke humakne kī
āvāz sun rahī huuñ
aur phir!
merī uñglī kī poroñ se
mere harf bahe jā rahe haiñ
mere ḳhuun kī ravāniyāñ
jism kī nāliyoñ meñ se
kisī biphartī huī mauj kī tarah
apne sāhil ko pukārtī haiñ
aur merī saañs
mere aazā ke biich se yuuñ jā rahī hai
jaise
vīrān jhāḌiyoñ ke darmiyān se
guzartī huī vo havā ho
jo sūkhe hue zard pattoñ ke raaz bāñTtī hai
aur maiñ apne jism kī bosīda dīvār se kaan lagā.e
har ek sadā ko baġhaur sun rahī huuñ
aur shāyad inhī meñ bah rahī hai
sadaon ka samundar
mere jism mein
ek sadaon ka samundar Thahar gaya hai
ye meri aankh
kisi KHwab ke paiham chaTaKHne ki
gunj de rahi hai
main apni kokh mein se
KHamoshiyon ke humakne ki
aawaz sun rahi hun
aur phir!
meri ungli ki poron se
mere harf bahe ja rahe hain
mere KHun ki rawaniyan
jism ki naliyon mein se
kisi bipharti hui mauj ki tarah
apne sahil ko pukarti hain
aur meri sans
mere aaza ke bich se yun ja rahi hai
jaise
viran jhaDiyon ke darmiyan se
guzarti hui wo hawa ho
jo sukhe hue zard patton ke raaz banTti hai
aur main apne jism ki bosida diwar se kan lagae
har ek sada ko baghaur sun rahi hun
aur shayad inhi mein bah rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.