sadhae hue parinde
savāl bachche ne jo kiye the
javāb un kā dabī zabāñ se vahī diyā hai jo mujh ko ajdād se milā thā
vahī purāne savāl us ke
zamīñ agar ḳhaam hai to us par hamāre puḳhta makān kyuuñ haiñ?
agar gulāboñ ko rañg ḳhurshīd se milā hai
to dhuup kā husn kaun se phuul kī atā hai?
vahī purāne savāl us ke
vahī purānā javāb merā
vahī girah vārid-e-chaman kī sadā-e-parvāz par lagā dī hai
jis kā halqa mirī zabāñ par paḌā huā hai
mujhe yaqīñ hai ki ye nayā ham-safīr merā
mirī tarah se zamīñ ke shīshe kī shash-jihat se na aage parvāz kar sakegā
vo ek mīThī sadā kī naddī
jo raat din kī jalī zamīnoñ se duur sarsabz jañgaloñ meñ ravāñ hai naġhme
koī sadhāyā huā parinda na us ke sar-basta sāhiloñ par utar sakegā
sawal bachche ne jo kiye the
jawab un ka dabi zaban se wahi diya hai jo mujh ko ajdad se mila tha
wahi purane sawal us ke
zamin agar KHam hai to us par hamare puKHta makan kyun hain?
agar gulabon ko rang KHurshid se mila hai
to dhup ka husn kaun se phul ki ata hai?
wahi purane sawal us ke
wahi purana jawab mera
wahi girah warid-e-chaman ki sada-e-parwaz par laga di hai
jis ka halqa meri zaban par paDa hua hai
mujhe yaqin hai ki ye naya ham-safir mera
meri tarah se zamin ke shishe ki shash-jihat se na aage parwaz kar sakega
wo ek miThi sada ki naddi
jo raat din ki jali zaminon se dur sarsabz jangalon mein rawan hai naghme
koi sadhaya hua parinda na us ke sar-basta sahilon par utar sakega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.