sadi ka gham
vo badbū-dār zahrīlā dhuāñ hai
jis se bantī aur bigaḌtī haiñ
ka.ī shakleñ
adhūrī nā-mukammal
jo ham se kah rahī haiñ
ye hamāre haath the
ye paañv
ye chehre
magar ab ham dhuāñ haiñ
ho sake to phir
ise tum jism-o-jāñ de do
agar itnā na ho paa.e
to tum bhī chīḳh ban jaao
dhuāñ ban kar bikhar jaao
hamāre saath mil jaao
wo badbu-dar zahrila dhuan hai
jis se banti aur bigaDti hain
kai shaklen
adhuri na-mukammal
jo hum se kah rahi hain
ye hamare hath the
ye panw
ye chehre
magar ab hum dhuan hain
ho sake to phir
ise tum jism-o-jaan de do
agar itna na ho pae
to tum bhi chiKH ban jao
dhuan ban kar bikhar jao
hamare sath mil jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.