safa aur sidq ke beTe
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
savād-e-sharq kā ik shahr
tārīkī meñ Duubā thā
achānak shor sā uTThā
zamīñ jaise taḌaḳh jaa.e
nadī meñ baaḌh aa jaa.e
koī koh-e-girāñ jaise jagah se apnī haT jaa.e
baḌā kohrām thā
ḳhilqat
matā-o-māl se mahrūm nañge sar
gharoñ se chīḳh kar niklī
magar āl-e-safā-o-sidq ke ḳheme nahīñ ukhḌe
vo apnī ḳhvāb-gāhoñ se nahīñ nikle
rivāyat hai
safā-o-sidq ke beTe
hamesha raat aate hī
hisār-e-hamd
apne chaar jānib khīñch lete the
muqaddas āyatoñ ko apne pe dam kar ke sote the
rivāyat hai
balā.eñ un ke darvāzoñ se
vāpas lauT jaatī thiiñ
savād-e-sharq kā vo shahr
us shab Dher thā lekin
safā-o-sidq kī aulād ke ḳheme nahīñ ukhḌe
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
sawad-e-sharq ka ek shahr
tariki mein Duba tha
achanak shor sa uTTha
zamin jaise taDaKH jae
nadi mein baDh aa jae
koi koh-e-giran jaise jagah se apni haT jae
baDa kohram tha
KHilqat
mata-o-mal se mahrum nange sar
gharon se chiKH kar nikli
magar aal-e-safa-o-sidq ke KHeme nahin ukhDe
wo apni KHwab-gahon se nahin nikle
riwayat hai
safa-o-sidq ke beTe
hamesha raat aate hi
hisar-e-hamd
apne chaar jaanib khinch lete the
muqaddas aayaton ko apne pe dam kar ke sote the
riwayat hai
balaen un ke darwazon se
wapas lauT jati thin
sawad-e-sharq ka wo shahr
us shab Dher tha lekin
safa-o-sidq ki aulad ke KHeme nahin ukhDe
- Book : purani baat hai (Pg. 9)
- Author : zubair rizvii
- Publication : maktaba jamia limited (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.