safa marwa
safā marva
safā-o-marva ke darmiyāñ dauḌtī umañgo
tumheñ ḳhabar hai
tumhāre ajdād ke nuqūsh-e-barahna-pā.ī
tumhāre qadmoñ ke naqsh-gar haiñ
tum apne qadmoñ kī pairvī meñ ravāñ-davāñ ho
ḳhud apnā irfān DhūñDte ho
hujūm meñ chal ke apnī baqā kā sāmān DhūñDte ho
diloñ ke asnām reza reza
tum apne qadmoñ pe chal rahe ho
diloñ ke andar chhupe butoñ ko miTā rahe ho
diloñ ke andar chhupe darindoñ ko sañg-e-sabr-o-ġhinā se
karte ho paash paash
aur chal rahe ho
hisār-e-shab meñ ravāñ ho kab se
tum apnā ḳhud kārvāñ ho kab se
magar shayātīñ tumhāre andar jo bas rahe haiñ
vo kab miTeñge
tumhāre naqsh-e-qadam kab apnī anā ke but
toḌ kar hujūm-e-musāfirāñ ke
rafīq hoñge
tum apne ajdād hī ke naqsh-e-qadam pe chalte rahoge
aur phir ye bhī jaan loge
ki ye tumhāre hī naqsh-e-pā hai
tumhāre a.amāl kī jazā haiñ
tumhārī taqdīr kā sila haiñ
tumhārī sa.ī kī intihā haiñ
safa marwa
safa-o-marwa ke darmiyan dauDti umango
tumhein KHabar hai
tumhaare ajdad ke nuqush-e-barahna-pai
tumhaare qadmon ke naqsh-gar hain
tum apne qadmon ki pairwi mein rawan-dawan ho
KHud apna irfan DhunDte ho
hujum mein chal ke apni baqa ka saman DhunDte ho
dilon ke asnam reza reza
tum apne qadmon pe chal rahe ho
dilon ke andar chhupe buton ko miTa rahe ho
dilon ke andar chhupe darindon ko sang-e-sabr-o-ghina se
karte ho pash pash
aur chal rahe ho
hisar-e-shab mein rawan ho kab se
tum apna KHud karwan ho kab se
magar shayatin tumhaare andar jo bas rahe hain
wo kab miTenge
tumhaare naqsh-e-qadam kab apni ana ke but
toD kar hujum-e-musafiran ke
rafiq honge
tum apne ajdad hi ke naqsh-e-qadam pe chalte rahoge
aur phir ye bhi jaan loge
ki ye tumhaare hi naqsh-e-pa hai
tumhaare aamal ki jaza hain
tumhaari taqdir ka sila hain
tumhaari sai ki intiha hain
- Book : Dastavez (Pg. 434)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.