safar aaghaz karte hain
safar āġhāz karte haiñ
kisī anjān manzil kā
safar ke rāste meñ duur tak
sahrā hī sahrā hai
jahāñ sūraj na.e din kī
masāfat se zarā pahle
vo apnī raushnī kā
malgajā sā rang pahne
āsmāñ ke nīlgūñ
pardoñ se laḌtā hai
to sahrā kā hasīñ manzar
kisī pāras ke TukḌoñ se
fazā rangīn kartā hai
yakāyak vo hasīñ manzar
usī pāras ke TukḌoñ ko
jalā kar laal kartā hai
kisī pyāse kī shiddat
aur shiddat kī bhī shiddat hai
ki jab dariyā ubalne kī ka.ī
nākām koshish meñ ubaltā hai
lab-e-dariyā kabhī sūraj savā neze pe aa ke jhuul jaatā hai
tabhī phir shaam kā manzar
añdherī raat meñ jal kar
nazar ke tāqche se DhūñD laatā hai
vo hiire jo abad tak
raushnī deñge
jalā deñge añdheroñ ko
safar ko rāsta deñge
safar aaghaz karte hain
kisi anjaan manzil ka
safar ke raste mein dur tak
sahra hi sahra hai
jahan suraj nae din ki
masafat se zara pahle
wo apni raushni ka
malgaja sa rang pahne
aasman ke nilgun
pardon se laDta hai
to sahra ka hasin manzar
kisi paras ke TukDon se
faza rangin karta hai
yakayak wo hasin manzar
usi paras ke TukDon ko
jala kar lal karta hai
kisi pyase ki shiddat
aur shiddat ki bhi shiddat hai
ki jab dariya ubalne ki kai
nakaam koshish mein ubalta hai
lab-e-dariya kabhi suraj sawa neze pe aa ke jhul jata hai
tabhi phir sham ka manzar
andheri raat mein jal kar
nazar ke taqche se DhunD lata hai
wo hire jo abad tak
raushni denge
jala denge andheron ko
safar ko rasta denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.