safar aur qaid mein ab ki dafa kya hua
maiñ ne ek sāhil se ek siipī uThā.ī
aur apne aañsū ko us meñ band kar ke
duur gahre samundar meñ pheñk diyā
maiñ ne apne hāthoñ par
ik tez chhurī se
lambe safar kī lakīr banā.ī
aur aise juute ḳharīde
jo chalte hue pairoñ ko hamesha zaḳhmī rakhte haiñ
ab kī daf.a maiñ ne ghar banāyā hai
aise shīshoñ kā
jin meñ sirf andar kā aks rahtā hai
aur aisī aag kā
jo zarūrat paḌne par ḳhud hī jal uThtī hai
aur aisī havā kā
jis ke liye koī darvāza kholne kī zarūrat nahīñ
aur aisī chīzoñ kā
jo apnī apnī jagah par farsh se juḌī huī haiñ
maiñ ne apne mausamoñ ko churā liyā hai
aur ghaas ke maidānoñ ko
registānoñ ko āsmānoñ ko
maiñ ne ek titlī ko ek kitāb meñ chhupā liyā hai
aur ik ḳhvāb ko āñkhoñ meñ
aur mohabbat ko jānñe ke liye
maiñ ne
ek nazm paḌhī hai
aur āvāz ke liye
ik giit gaayā hai
maiñ ne ghup añdhere meñ
āñkheñ band kar ke
ghar ke shīshoñ meñ
ḳhud ko dekhā hai
aur yaad kiyā hai
ek aadmī ko
jo gahre samundar meñ
vo siipī DhūñDne utar gayā
jis meñ maiñ ne apnā aañsū qaid kar ke pheñkā thā
main ne ek sahil se ek sipi uThai
aur apne aansu ko us mein band kar ke
dur gahre samundar mein phenk diya
main ne apne hathon par
ek tez chhuri se
lambe safar ki lakir banai
aur aise jute KHaride
jo chalte hue pairon ko hamesha zaKHmi rakhte hain
ab ki dafa main ne ghar banaya hai
aise shishon ka
jin mein sirf andar ka aks rahta hai
aur aisi aag ka
jo zarurat paDne par KHud hi jal uThti hai
aur aisi hawa ka
jis ke liye koi darwaza kholne ki zarurat nahin
aur aisi chizon ka
jo apni apni jagah par farsh se juDi hui hain
main ne apne mausamon ko chura liya hai
aur ghas ke maidanon ko
registanon ko aasmanon ko
main ne ek titli ko ek kitab mein chhupa liya hai
aur ek KHwab ko aankhon mein
aur mohabbat ko jaanne ke liye
main ne
ek nazm paDhi hai
aur aawaz ke liye
ek git gaya hai
main ne ghup andhere mein
aankhen band kar ke
ghar ke shishon mein
KHud ko dekha hai
aur yaad kiya hai
ek aadmi ko
jo gahre samundar mein
wo sipi DhunDne utar gaya
jis mein main ne apna aansu qaid kar ke phenka tha
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 210)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.