safar-e-raegan
zindagī ke safar meñ ka.ī moḌ haiñ
aur ka.ī rāste
anginat manzileñ
jis pe insān be-rāh-ravī kā shikār
roz-e-avval se hai
saikḌoñ rahnumā aa.e tablīġh kī
rāh-e-haq kī magar
rāhgīroñ ko dushvārī dar-pesh hai
har qadam par yahāñ
aisī dushvārī jis kā mudāvā nahīñ
anginat ḳhvāhisheñ aur sapne liye
dar-ba-dar Thokareñ khātā thaktā nahīñ hai ye insān
jis ko ḳhudā ne ḳhalīfa banāyā
ḳhilāfat 'atā kī
magar is navāzish pe kab mutma.in hai
ye insān āḳhir
vahī apne sapne liye phir rahā hai
vo sapne ki tā'bīr jin kī na koī na koī haqīqat
faqat ek dhun hai
usī dhun meñ chaltā chalā jā rahā hai
usī raah par aur usī manziloñ kī taraf
jis kā koī nishāñ hai na koī pata hai
zindagi ke safar mein kai moD hain
aur kai raste
anginat manzilen
jis pe insan be-rah-rawi ka shikar
roz-e-awwal se hai
saikDon rahnuma aae tabligh ki
rah-e-haq ki magar
rahgiron ko dushwari dar-pesh hai
har qadam par yahan
aisi dushwari jis ka mudawa nahin
anginat KHwahishen aur sapne liye
dar-ba-dar Thokaren khata thakta nahin hai ye insan
jis ko KHuda ne KHalifa banaya
KHilafat 'ata ki
magar is nawazish pe kab mutmain hai
ye insan aaKHir
wahi apne sapne liye phir raha hai
wo sapne ki ta'bir jin ki na koi na koi haqiqat
faqat ek dhun hai
usi dhun mein chalta chala ja raha hai
usi rah par aur usi manzilon ki taraf
jis ka koi nishan hai na koi pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.