safar-e-sahra
kyā kahūñ zaḳhm kitnā gahrā hai
duur tak sirf mahz sahrā hai
har qadam par bagūle raqsāñ haiñ
raah meñ har-sū sho.ale raqsāñ haiñ
na shajar hai na koī saaya hai
koī chashma na koī dariyā hai
dhuup sar par barastī rahtī hai
pyaas lab par laraztī rahtī hai
tīrgī chashm-e-tar pe taarī hai
aur safar hai ki phir bhī jaarī hai
kya kahun zaKHm kitna gahra hai
dur tak sirf mahz sahra hai
har qadam par bagule raqsan hain
rah mein har-su shoale raqsan hain
na shajar hai na koi saya hai
koi chashma na koi dariya hai
dhup sar par barasti rahti hai
pyas lab par larazti rahti hai
tirgi chashm-e-tar pe tari hai
aur safar hai ki phir bhi jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.