safar ka aaKHiri manzar
safar par chale the to sochā thā kyā kuchh
ka.ī rāste apne qadmoñ se ham rauñd deñge
ka.ī ham-safar har qadam par mileñge
rifāqat ka nashsha
safar kī thakan meñ kuchh is tarh ghultā rahegā
masāfat kī duurī ko mahsūs hone na degā
safar par chale the to sochā thā ham ne
ka.ī mehrbāñ bastiyāñ rāste meñ paḌeñgī
jo is dil kī tanhā.iyoñ ka mudāvā kareñgī
guzarte hue kaif-parvar marāhil
nashāt-e-talab kī vo sauġhāt deñge
havāoñ ke hāthoñ meñ ham haath de kar chaleñge
yūñhī nau-ba-nau muntazir manziloñ kī taraf paañv uThte raheñge
safar par chale the to sochā thā lekin
safar par chale the to sochā kahāñ thā
ye manzar in āñkhoñ ne us vaqt dekhā kahāñ thā
na rasta koī laḌkhaḌātī nazar meñ
na qat'-e-masāfat ka saudā hai sar meñ
nashāt-e-talab hī kī sauġhāt koī
na un ḳhālī hāthoñ meñ hai haath koī
thakan se larazte hue paañv banjar zamīñ meñ gaḌe haiñ
jahāñ se safar par chale the kisī din
vahīñ ham abhī tak akele khaḌe haiñ
safar par chale the to socha tha kya kuchh
kai raste apne qadmon se hum raund denge
kai ham-safar har qadam par milenge
rifaqat ka nashsha
safar ki thakan mein kuchh is tarh ghulta rahega
masafat ki duri ko mahsus hone na dega
safar par chale the to socha tha hum ne
kai mehrban bastiyan raste mein paDengi
jo is dil ki tanhaiyon ka mudawa karengi
guzarte hue kaif-parwar marahil
nashat-e-talab ki wo saughat denge
hawaon ke hathon mein hum hath de kar chalenge
yunhi nau-ba-nau muntazir manzilon ki taraf panw uThte rahenge
safar par chale the to socha tha lekin
safar par chale the to socha kahan tha
ye manzar in aankhon ne us waqt dekha kahan tha
na rasta koi laDkhaDati nazar mein
na qat'-e-masafat ka sauda hai sar mein
nashat-e-talab hi ki saughat koi
na un KHali hathon mein hai hath koi
thakan se larazte hue panw banjar zamin mein gaDe hain
jahan se safar par chale the kisi din
wahin hum abhi tak akele khaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.