safar ka dhaDka
irāda hai vatan pahuñchūñ
sunā.ūñ hāl-e-dil apnā
ki din masrūf rakhtā hai
magar rāteñ
bahut mushkil guzartī haiñ
use tum ishq kah sakte ho lekin
zarā socho
ye kaise be-zarar lamhe
hamārī dastaras se
duur hote jā rahe haiñ
aur aise meñ kahāñ mumkin
tumhāre zulf kholūñ
tumhāre hoñT chūmūñ
hamesha shor sā ik
ta.āqub meñ hai mere
kabhī ye sāzishī saa.e
yakāyak sāmne aa kar
patā pūchheñ
kabhī kuchh aur
yahī dhaḌkā use bhī hai
ki āñkheñ band ho jaane se pahle
musāfir ghar pahuñch jaa.e
irada hai watan pahunchun
sunaun haal-e-dil apna
ki din masruf rakhta hai
magar raaten
bahut mushkil guzarti hain
use tum ishq kah sakte ho lekin
zara socho
ye kaise be-zarar lamhe
hamari dastaras se
dur hote ja rahe hain
aur aise mein kahan mumkin
tumhaare zulf kholun
tumhaare honT chumun
hamesha shor sa ek
taaqub mein hai mere
kabhi ye sazishi sae
yakayak samne aa kar
pata puchhen
kabhi kuchh aur
yahi dhaDka use bhi hai
ki aankhen band ho jaane se pahle
musafir ghar pahunch jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.