safar
maiñ jab ik safar pe chaltā huuñ
maiñ bhāgtā huuñ maiñ ruktā huuñ
maiñ dauḌtā huuñ maiñ girtā huuñ
safar kī taptī dhuup se chhāñv meñ
jab maiñ dam letā huuñ
maiñ jāne-anjāne meñ ye sab sochne lagtā huuñ
kahīñ koī ġhalat moḌ to nahīñ liyā
ki saḌak ke kināre koī miil kā patthar nahīñ aayā
maiñ sochtā huuñ ki kyoñ na vāpas chalā jaa.e
ki manzil to hai duur par apnā ghar nazar aa.e
ye tanhā safar hai choT lage to marham kaun lagā.e
is ghabrā.e dil ko ye kaun samjhā.e
ki ab apnī hī zid par ye nādān pachhtā.e
maiñ jāne-anjāne meñ ye sab kyoñ sochtā huuñ
āḳhir anjān rāste kabhī naape nahīñ hote
aur manzil koī bhī ho duur hī hotī hai lekin
rāste vāpsī ke lambe nahīñ hote
tanhā safar dushvār hai choT ke sab āsār hai
ghar lauTā be-kār hai nā-ummīdī meñ haar hai
maiñ jab ik safar pe chaltā huuñ
main jab ek safar pe chalta hun
main bhagta hun main rukta hun
main dauDta hun main girta hun
safar ki tapti dhup se chhanw mein
jab main dam leta hun
main jaane-anjaane mein ye sab sochne lagta hun
kahin koi ghalat moD to nahin liya
ki saDak ke kinare koi mil ka patthar nahin aaya
main sochta hun ki kyon na wapas chala jae
ki manzil to hai dur par apna ghar nazar aae
ye tanha safar hai choT lage to marham kaun lagae
is ghabrae dil ko ye kaun samjhae
ki ab apni hi zid par ye nadan pachhtae
main jaane-anjaane mein ye sab kyon sochta hun
aaKHir anjaan raste kabhi nape nahin hote
aur manzil koi bhi ho dur hi hoti hai lekin
raste wapsi ke lambe nahin hote
tanha safar dushwar hai choT ke sab aasar hai
ghar lauTa be-kar hai na-ummidi mein haar hai
main jab ek safar pe chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.