safar qalam ka
tere safar kā ant nahīñ hai
tujh ko chalte jaanā hai
qalam kī dhārā tujh ko to
ab sadā hī bahte jaanā hai
maanā safar bahut lambā hai
jaanā tujh ko duur hai
koī nahīñ hai saath meñ tere
phir bhī qadam baḌhānā hai
is dhartī kā zarra zarra
dāman meñ bhar lenā hai
pal pal har manzar kā tujh ko
ek ik har manzar kā tujh ko
ek ik naqsh samonā hai
tere safar kā ant nahīñ hai
tujh ko chalte jaanā hai
dekh kabhī to mausam-e-gul ko
patjhaḌ kī āvāzoñ meñ
aur kabhī tū parbat ban jā
aur kabhī bah sāgar meñ
sahrāoñ meñ tanhā chal
aur hañstā jā gulzāroñ meñ
patthar se ugā le phūloñ ko
ḳhāroñ meñ shīrīnī bhar de
rotī shabnam Dhaltā sūraj
sāñjh kī sundar belā bhī
sub.h kā taarā chāñd kā haala
har mausam albelā bhī
bahutoñ se milnā hai baaqī
kho ga.e haiñ sab tere sāthī
thak kar ho na chuur abhī
baiTh gayā gar vahīñ añdherā
mil jā.egā muñh bhaaḌ se
tū to qalam likhne kī ḳhātir
har dam māñge ujyārā
chun chun kar ujlā ujlā-pan
tujh ko likhte jaanā hai
isī ujāle kī ḳhātir hī
tujh ko chalte jaanā hai
tere safar kā ant nahīñ hai
tujh ko chalte jaanā hai
tere safar ka ant nahin hai
tujh ko chalte jaana hai
qalam ki dhaara tujh ko to
ab sada hi bahte jaana hai
mana safar bahut lamba hai
jaana tujh ko dur hai
koi nahin hai sath mein tere
phir bhi qadam baDhana hai
is dharti ka zarra zarra
daman mein bhar lena hai
pal pal har manzar ka tujh ko
ek ek har manzar ka tujh ko
ek ek naqsh samona hai
tere safar ka ant nahin hai
tujh ko chalte jaana hai
dekh kabhi to mausam-e-gul ko
patjhaD ki aawazon mein
aur kabhi tu parbat ban ja
aur kabhi bah sagar mein
sahraon mein tanha chal
aur hansta ja gulzaron mein
patthar se uga le phulon ko
KHaron mein shirini bhar de
roti shabnam Dhalta suraj
sanjh ki sundar bela bhi
subh ka tara chand ka haala
har mausam albela bhi
bahuton se milna hai baqi
kho gae hain sab tere sathi
thak kar ho na chur abhi
baiTh gaya gar wahin andhera
mil jaega munh bhaD se
tu to qalam likhne ki KHatir
har dam mange ujyara
chun chun kar ujla ujla-pan
tujh ko likhte jaana hai
isi ujale ki KHatir hi
tujh ko chalte jaana hai
tere safar ka ant nahin hai
tujh ko chalte jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.