safar
ye maanā chand lamhoñ kī rifāqat bhī
bahut hai aaj kal lekin
mire andar kā sannāTā
kabhī dekho to jānoge
ki maiñ kyuuñ
niiñd kī ḳhāmosh tārīkī se Dartā huuñ
ka.ī din se to maiñ ne ḳhvāb bhī
Dar Dar ke dekhe haiñ
jo sannāTe kā aadī ho gayā ho
us ke kānoñ ko
ḳhizāñ meñ peḌ se TuuTe hue
pattoñ ke girte vaqt halkī sī
taḌapne kī sadā bhī achchhī lagtī hai
ye maanā maiñ akelā-pan to apnā
baañT hī lūñgā
magar koī adhūrā-pan mirā bāñTe
to maiñ jānūñ
safar meñ zindagī ke
maiñ ne dekhā hai
agar miltā bhī hai koī
to chupke se kisī ik moḌ par
vo chhoḌ jaatā hai
abhī to ḳhair se
manzil buḌhāpe kī nahīñ aa.ī
abhī to aur bhī kuchh moḌ ā.eñge
buḌhāpe meñ sahāre kī
zarūrat hone lagtī hai
ye milne aur bichhaḌne kī ḳhalish hī
ik sahārā hai
jise dil maan letā hai
vahī hai e'tibār 'āzar'
agar ye bhī nahīñ hogā
to phir ummīd kyā ho
apne jiine kī
ye mana chand lamhon ki rifaqat bhi
bahut hai aaj kal lekin
mere andar ka sannaTa
kabhi dekho to jaanoge
ki main kyun
nind ki KHamosh tariki se Darta hun
kai din se to main ne KHwab bhi
Dar Dar ke dekhe hain
jo sannaTe ka aadi ho gaya ho
us ke kanon ko
KHizan mein peD se TuTe hue
patton ke girte waqt halki si
taDapne ki sada bhi achchhi lagti hai
ye mana main akela-pan to apna
banT hi lunga
magar koi adhura-pan mera banTe
to main jaanun
safar mein zindagi ke
main ne dekha hai
agar milta bhi hai koi
to chupke se kisi ek moD par
wo chhoD jata hai
abhi to KHair se
manzil buDhape ki nahin aai
abhi to aur bhi kuchh moD aaenge
buDhape mein sahaare ki
zarurat hone lagti hai
ye milne aur bichhaDne ki KHalish hi
ek sahaara hai
jise dil man leta hai
wahi hai e'tibar 'azar'
agar ye bhi nahin hoga
to phir ummid kya ho
apne jine ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.