safar se lauT aane wali hawa
havā hamāre dālānoñ meñ ruk sī ga.ī hai
tum se ijāzat le kar
maidānoñ kī ḳhushbū phailā degī
mirī kitāboñ aur tumhārī poshākoñ meñ
us se pūchho
kaise haiñ vo log jinheñ pichhlī barsāt meñ
ham ne be-ghar dekhā thā
aur kaisī hai vo bachchī
jis ne ham donoñ ko apne miTTī ke pyāle meñ duudh pilāyā thā
kaise haiñ sūraj-mukhī ke nanhe-munne beTe
jin ko ham ne pyaar kiyā thā
aur vo sāda-lauh charvāhe
jin se ham ne apnā rasta pūchā thā
kaise haiñ dariyā ke giit
jinheñ adhūrā chhoḌ aa.e the
kis ne ham donoñ ke ba.ad unheñ gaayā hai
kaun hamāre ba.ad vahāñ se guzrā
jahāñ november aa kar Thahar gayā thā
aur november dhuup meñ
jaise sayyāhoñ kī vardī pahne
har manzar meñ phail rahā thā
hameñ batāo
tum kaisī ho
aur kaise haiñ zinda rahne vaale zamāne
hawa hamare dalanon mein ruk si gai hai
tum se ijazat le kar
maidanon ki KHushbu phaila degi
meri kitabon aur tumhaari poshakon mein
us se puchho
kaise hain wo log jinhen pichhli barsat mein
hum ne be-ghar dekha tha
aur kaisi hai wo bachchi
jis ne hum donon ko apne miTTi ke pyale mein dudh pilaya tha
kaise hain suraj-mukhi ke nanhe-munne beTe
jin ko hum ne pyar kiya tha
aur wo sada-lauh charwahe
jin se hum ne apna rasta pucha tha
kaise hain dariya ke git
jinhen adhura chhoD aae the
kis ne hum donon ke baad unhen gaya hai
kaun hamare baad wahan se guzra
jahan nowember aa kar Thahar gaya tha
aur nowember dhup mein
jaise sayyahon ki wardi pahne
har manzar mein phail raha tha
hamein batao
tum kaisi ho
aur kaise hain zinda rahne wale zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.