safar se lauTte lamhon mein
vo jism
jis ko añdhere ne chāñdnī meñ bunā
vo jism
jis ko tarāshā nahīñ gayā thā magar
vo jism
ḳhud hī tarāshā huā thā ik paikar
vo jism
jis ke vasīle se us jazīre kī
jo sair maiñ ne kabhī kī thī
bhūlnā hai abas
vo fāsla
ki jo sadiyoñ meñ tai nahīñ hogā
vo tai huā thā
faqat sirf chand lamhoñ meñ
mirī ragoñ meñ abhī
ḳhuun munjamid hai magar
tumhārī yaad kī
purvā kabhī jo bahtī hai
to apne hone kā ehsās jāgtā hai bahut
alag ye baat
ki ye jism-e-nā-tavāñ merā
safar se lauTte lamhoñ meñ
hāñptā hai bahut
wo jism
jis ko andhere ne chandni mein buna
wo jism
jis ko tarasha nahin gaya tha magar
wo jism
KHud hi tarasha hua tha ek paikar
wo jism
jis ke wasile se us jazire ki
jo sair main ne kabhi ki thi
bhulna hai abas
wo fasla
ki jo sadiyon mein tai nahin hoga
wo tai hua tha
faqat sirf chand lamhon mein
meri ragon mein abhi
KHun munjamid hai magar
tumhaari yaad ki
purwa kabhi jo bahti hai
to apne hone ka ehsas jagta hai bahut
alag ye baat
ki ye jism-e-na-tawan mera
safar se lauTte lamhon mein
hanpta hai bahut
- Book : Aatish Fishan (Pg. 79)
- Author : Shamim Qasmi
- Publication : Noshiin Publications (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.