safar
vo bhī bus kā
ka.ī ghanToñ lambā
musāfir the ḳhāmosh bilkul
sabhī niiñd meñ gum the shāyad
maiñ tanhā akelā
karūñ to karūñ kyā
ki lamha sadī thā
bitā.e na biite
achānak hī phir
dhyān kī sīḌhiyoñ se
kisī kī sajal yaad
utrī thī jo ziina ziina
safar kaT gayā merā
wo bhi bus ka
kai ghanTon lamba
musafir the KHamosh bilkul
sabhi nind mein gum the shayad
main tanha akela
karun to karun kya
ki lamha sadi tha
bitae na bite
achanak hi phir
dhyan ki siDhiyon se
kisi ki sajal yaad
utri thi jo zina zina
safar kaT gaya mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.