safar
ye aag paanī havā ye miTTī
inhīñ se merā ḳhamīr uTThā
inhīñ meñ tahlīl ho na jā.ūñ
ye aag jo nuur kā lahū hai
jo merī rag rag meñ maujzan hai
isī kī lau meñ ye maiñ ne dekhā
mujhe pahāḌoñ kī choTiyoñ se buland-tar
nuur kī pur-asrār sī ik uñglī bulā rahī thī
maiñ apne bojhal kasīf kapḌoñ ko ḳhuun kī aag meñ jalā kar
havā ke mānind kohsāroñ kī rif.atoñ kī taraf baḌhā
aaj kallā koh par khaḌā huuñ
mire aur angusht-e-nūr ke darmiyān ik jast fāsla hai
aur ab zamīñ kī kashish
jahāñ marg kā sukūñ hai
mire badan ko bulā rahī hai
jo lauT kar dekhtā huuñ
un gahrī tīr-o-tār ghāTiyoñ kī taraf
jahāñ se guzar ke in choTiyoñ pe pahuñchā
to aise lagtā hai
gar maiñ us ḳhāk-dāñ ko lauTā
to phir palaT ke na aa sakūñgā
bas ek hī jast fāsla hai
jo aaj us ko maiñ paar kar luuñ
to abr ban kar baras sakūñ
jis ke āb-pāre
shajar shajar kī numū kareñge
sadaf sadaf meñ guhar baneñge
ye aag pani hawa ye miTTi
inhin se mera KHamir uTTha
inhin mein tahlil ho na jaun
ye aag jo nur ka lahu hai
jo meri rag rag mein maujzan hai
isi ki lau mein ye main ne dekha
mujhe pahaDon ki choTiyon se buland-tar
nur ki pur-asrar si ek ungli bula rahi thi
main apne bojhal kasif kapDon ko KHun ki aag mein jala kar
hawa ke manind kohsaron ki rifaton ki taraf baDha
aaj kalla koh par khaDa hun
mere aur angusht-e-nur ke darmiyan ek jast fasla hai
aur ab zamin ki kashish
jahan marg ka sukun hai
mere badan ko bula rahi hai
jo lauT kar dekhta hun
un gahri tir-o-tar ghaTiyon ki taraf
jahan se guzar ke in choTiyon pe pahuncha
to aise lagta hai
gar main us KHak-dan ko lauTa
to phir palaT ke na aa sakunga
bas ek hi jast fasla hai
jo aaj us ko main par kar lun
to abr ban kar baras sakun
jis ke aab-pare
shajar shajar ki numu karenge
sadaf sadaf mein guhar banenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.