safed ghoDe par sawar ajnabi
mire makāñ ke sāmne
vo jūñhī aayā
yak-ba-yak
koī barq zan-zanātī aañkh meñ utar ga.ī
lahū meñ jaise an-ginat
kabūtaroñ kī phaḌphaḌāhaToñ ne sab
ragoñ ke taar jhanjhanā diye
tamām khiḌkiyoñ ke paT
''khaTāk'' se badan ne band kar liye
magar safed ghoḌe par savār ajnabī kī aañkh
mere gird-o-pesh
īstāda jismoñ kī fasīl
toḌ kar
mire sirhāne aa ga.ī
mirī har ek saañs jaise
ḳhanjaroñ kī nok meñ piro ga.ī
na jaane kitnī mehrbān sūrateñ
na jaane kitne bhūle-bisre vāqiye
na jaane kitnī hasratoñ ke qāfile
shikasta kāñch kī tarah
bikhar ga.e
maiñ ik taraf to un ko joḌne
sameTne kī rau meñ mubtalā-e-karb thā
aur dūsrī taraf
hazāroñ ḳhanjaroñ se apnī saañs kī tanāb ko
sambhālne kī had meñ
zaḳhm zaḳhm thā
is ek lamhe meñ hī saarī umr kī
masāfatoñ se bhī tavīl-tar safar adā huā
magar na itnā hausla huā
ki us se ham-kalām ho sakūñ
safed ghoḌe par savār ajnabī
dar-e-makān par khaḌā thā chup magar
mujhe hisār-e-jāñ ke paas bhī
khaḌā dikhā.ī de rahā thā aur maiñ
ek chīḳh rokne kī justujū meñ
sad-hazār chīḳh mujtam.a kiye
āb-e-teġh-e-jism kho chukā thā
aur ek sirf ek surḳh buuñd kā nishān thā
safed ghoḌe par savār ajnabī chalā gayā
mere makan ke samne
wo junhi aaya
yak-ba-yak
koi barq zan-zanati aankh mein utar gai
lahu mein jaise an-ginat
kabutaron ki phaDphaDahaTon ne sab
ragon ke tar jhanjhana diye
tamam khiDkiyon ke paT
khaTak se badan ne band kar liye
magar safed ghoDe par sawar ajnabi ki aankh
mere gird-o-pesh
istada jismon ki fasil
toD kar
mere sirhane aa gai
meri har ek sans jaise
KHanjaron ki nok mein piro gai
na jaane kitni mehrban suraten
na jaane kitne bhule-bisre waqiye
na jaane kitni hasraton ke qafile
shikasta kanch ki tarah
bikhar gae
main ek taraf to un ko joDne
sameTne ki rau mein mubtala-e-karb tha
aur dusri taraf
hazaron KHanjaron se apni sans ki tanab ko
sambhaalne ki had mein
zaKHm zaKHm tha
is ek lamhe mein hi sari umr ki
masafaton se bhi tawil-tar safar ada hua
magar na itna hausla hua
ki us se ham-kalam ho sakun
safed ghoDe par sawar ajnabi
dar-e-makan par khaDa tha chup magar
mujhe hisar-e-jaan ke pas bhi
khaDa dikhai de raha tha aur main
ek chiKH rokne ki justuju mein
sad-hazar chiKH mujtama kiye
aab-e-tegh-e-jism kho chuka tha
aur ek sirf ek surKH bund ka nishan tha
safed ghoDe par sawar ajnabi chala gaya
- Book : Hukm Nama (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.