safed phul
yaad ke pattoñ kā rang
hamesha sabz nahīñ rahā
chāñd raat aur maiñ tīnoñ
dard kī bāteñ sunte rahe
guftugū ke iḳhtitām par
maiñ ne āñkheñ nichoḌīñ
ek banjar ḳhvāb ke sivā kuchh nahīñ niklā
maiñ ne āvāz ko
sātveñ parde ke pīchhe se sunā
vasl kī rāhat kā zā.iqa
tā-hāl ajnabī hai
savāliya chīḳh
apne muqarrara āsmān tak nahīñ pahuñch sakī
maiñ apnī zaat ke saare havāloñ ko
ik jānib lapeT kar rakh bhī duuñ
to
shajre kī nisbat kā bojh
mire qalam ko
tumhārā naam likhne nahīñ degā
safed phuul siyāh ho rahā hai
yaad ke patton ka rang
hamesha sabz nahin raha
chand raat aur main tinon
dard ki baaten sunte rahe
guftugu ke iKHtitam par
main ne aankhen nichoDin
ek banjar KHwab ke siwa kuchh nahin nikla
main ne aawaz ko
satwen parde ke pichhe se suna
wasl ki rahat ka zaiqa
ta-haal ajnabi hai
sawaliya chiKH
apne muqarrara aasman tak nahin pahunch saki
main apni zat ke sare hawalon ko
ek jaanib lapeT kar rakh bhi dun
to
shajre ki nisbat ka bojh
mere qalam ko
tumhaara nam likhne nahin dega
safed phul siyah ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.