safed raat se mansub hai lahu ka zawal
safed raat se mansūb hai lahū kā zavāl
sabā ke shānoñ pe bikhre sunahrī dhuup ke baal
har ek lafz ke chehre pe mal diyā hai malāl
miTe miTe se ma.ānī bujhe bujhe se ḳhayāl
pighalte lamhoñ ke hāthoñ meñ raushnī kā ma.aal
ḳhilāf kī naaf se rah rah ke sar uThāte savāl
mire badan kā tajassus mire gunāh kī Dhaal
safed raat se mansub hai lahu ka zawal
saba ke shanon pe bikhre sunahri dhup ke baal
har ek lafz ke chehre pe mal diya hai malal
miTe miTe se maani bujhe bujhe se KHayal
pighalte lamhon ke hathon mein raushni ka maal
KHilaf ki naf se rah rah ke sar uThate sawal
mere badan ka tajassus mere gunah ki Dhaal
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.