safed sach
us kī uñgliyāñ hamesha sach boltī haiñ
baḌā yaqīn thā use apnī uñgliyoñ par
un ke sachche hone par bhī baḌā naaz thā
vo hamesha apnī uñgliyoñ ko
bātoñ bātoñ meñ chuum letī thī
ek din nādānī meñ us ne
apnī uñgliyāñ mere hoñToñ par rakh diiñ
us din se us kī uñgliyāñ sach nahīñ boltīñ
sirf jhuuT boltī haiñ
us ki ungliyan hamesha sach bolti hain
baDa yaqin tha use apni ungliyon par
un ke sachche hone par bhi baDa naz tha
wo hamesha apni ungliyon ko
baaton baaton mein chum leti thi
ek din nadani mein us ne
apni ungliyan mere honTon par rakh din
us din se us ki ungliyan sach nahin boltin
sirf jhuT bolti hain
- Book : Shahdaba (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.