safed safar
kis qadar garāñ Thahrī
mausamoñ ke sāhil par
ār-pār hotī dhund
ā.īne kī qātil hai
shaam meñ nikaltī dhund
dil zarā sā bojhal thā
us pe aan Thahrī hai
phir se ye ikahrī dhund
aañkh rauzanoñ par hai
kis tarah utārūñgī
vasvasoñ kī phailī dhund
ek zard bārish meñ
aur niiñd lā.egī
ḳhvāb kī sunahrī dhund
kis qadar garan Thahri
mausamon ke sahil par
aar-par hoti dhund
aaine ki qatil hai
sham mein nikalti dhund
dil zara sa bojhal tha
us pe aan Thahri hai
phir se ye ikahri dhund
aankh rauzanon par hai
kis tarah utarungi
waswason ki phaili dhund
ek zard barish mein
aur nind laegi
KHwab ki sunahri dhund
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.